Hanuman Amritvani- English Text
Aadi shakti ke laadle,
Raam bhakt seer moh,
Sankat mochan aap se,
Vinti karun kar jod,
Rudra ves sankar suvan,
Pawan putra balwaan,
Jai sankat mochan prabhu,
Bajrangi hanuman,
Deen dukhari aa giree,
Dar tere shir nath,
Dayaa dristi se chaman ke,
Dijo kast mitaaaye,
Jai sankat mochan bhagwan,
Jai bajrangi jai hanuman...2
Jai bajrangi jai hanuman,
Jai jai raam naam ke pyaare,
Jai anjani sut ppawan dulaare,
Siddh kaaj sab karo humare,
Padun nath main charan tumhare,
Mand mati baalak anjaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Chaaro vedon ne yash gaaya,
Sankar ji damru khadkaaya,
Bhairo ji ne naad bajaya,
Gandharwo ne raag sunaya,
Naarad veena lage bajaane,
Jai sankat mochan bhagwan,
Raahu ketu nav grah bhaari,
Brihaspati mangal sani balkaari,
Jispe hove kripa tumhari,
Rehta hai wo sadaa sukhari,
Chamke tej suraj ke samaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Meri ijjat haath tumhare,
Jaaun main ab kiske dwaare,
Kaato sankat aap humare,
Tum hi ho praano se pyaare,
Dayaa karo ee dayaa nidhaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Duniya ke dukh aane na dena,
Aan ko meri jaane na dena,
Kast se mera mann na dole,
Kisi ke aage dukh na khole,
Sadaa rahe karta gungaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Koi bigadega kya mera,
Jab hai mujhe sahara tera,
Kyon fikaron ne mujhko ghera,
Paar karo ye beda mera,
Tum ho sabse shaktimaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Tere dar par aaun kaise,
Darshan tera paaun kaise,
Jai bajrangi jai hanuman...4
Khol ke haal sunaun kaise,
Dukhiya dil samjhaun kaise,
Aap ho sabke jaani jaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Paath kare nit prem badhaaye,
Keertan maha mantra ka gaaye,
Jo bhakti sraddha se dhayae,
Uspe na koi sankat aaye,
Darshan devenge hanuman,
Jai sankat mochan bhagwan,
Sukal paksh ka mangal aavey,
Bajrangi ka barrt karavey,
Sankat mochan ke gun gaave,
Bhog laga parsaadi paave,
Kareinge bajrangi kalyaan,
Jai sankat mochan bhagwan,
Sankat mochan mandir jaake,
Chaman prem se sis jhukake,
Vinav sunaye deep jalake,
Do pakhvaare niyam banake,
Muh maanga paave vardaan,
Jai sankat mochan bhagwan...3
Sraddha or viswaas mein,
Pooja ka aadhaar,
Kare yadi nar paat ki,
Ho jaaye beda paar,
Shakti ko bajrang hai,
Bhakti ko hanuman,
Kast mitaane ke liye,
Hai sankat mochan jaap,
Sankat mochan kehte hi,
Sab sankat mit jaaye,
Chaman abhaage dev hain,
Jo na sraddha laaye,
Jai sankat mochan bhagwan,
Jai bajrangi jai hanuman...3
Bajranng idhar bhi dhayan dharo,
Darshan de kar kalyaan karo,
Sarnaagat ki rakh laaj prabhu,
Sab devan ke sartaaj prabhu,
Mere bhi sawaaro kaaj prabhu,
Sankat mochan maharaaj prabhu,
Mere dukh ki pehchaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Jai bajrangi jai hanuman...4
Mujhko ik teri aas rahe,
Dil har dum tere paas rahe,
Tere charno ka daas rahe,
Aur thujpe atal viswaas rahe,
Itni hi dayaa dayaawaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Apni aukaat mein reh kar ke,
Santon ki sangat beh kar ke,
Har kast ko seer par seh kar ke,
Aur raam raam hi keh kar ke,
Jiwan mera gujraan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Main nirbhey hokar gun gaaun,
Gun gaa kar ujjwal yash paaun,
Na kast kisi ko pohonchaun,
Har dard ka daaru ban jaaun,
Nirbal mann ko balwaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Mann laga bhalaayi mein hi rahe,
Tan sewaa karaayi mein hi rahe,
Tan nek kamaayi mein hi rahe,
Aur jabaan sachchaayi mein hi rahe,
Bas ye hi var vardaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Na jang mein janm karolun main,
Abhimaan ke vachan na bolun main,
Dukh kisi ke paas na kholun main,
Mushkil mein bhi na dolun main,
Shakti de shaktimaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Na raag rahe na dwes rahe,
Na koi mujhe kales rahe,
Tera hi dhayaan hamesh rahe,
Aur yaad yahi updesh rahe,
Mann raam naam nitgaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Sankat mochan sankat se chuda,
Hanuman meri himmat ko badaa,
Bajrang mera tan bajar banaa,
Aa pawan putra mann aas puja,
Raksha meri bhagwaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Hai sankat mochan naam tera,
Kyon sankat nahin harte mera,
Mere bhi or karo pheraa,
Tere dar par hai kiya deraa,
Na chaman ko ab paresaan karo,
Bajrang idhar bhi dhayaan dharo,
Raam bhakt tumko shrey,
Raam prabhu ki yaad,
Kast haro puri karo,
Aasa meri hanuman,
Shakti ko bajrang hai,
Bhakti ko bhagwaan,
Sankat harne ke liye,
Sankat mochan jaap,
Shakti bhakti mukti prabhu,
De kar karo kalyaan,
Riddhi siddhi nav nidhi ka,
Chaman ko do vardaan,
Jai bajrangi jai hanuman...8
No comments:
Post a Comment